anokha rup dhaara hai nirala qad nikala hai zara si shakh ne kaisa bada bargad nikala hai khushamad karne wale ke hukumat hath aai hai jo apni jaan par khela use sarhad nikala hai hazaron mein kisi ek aadh ko duniya ata key hai hamare waste us ne yahi fisad nikala hai ki us ko sujhti rahti hai apni si chalane ki kahin tabrez bheja hai kahin sarmad nikala hai bahut aasan hai allah ko manzar badal dena abhi masnad-nashini hai abhi masnad nikala hai ahad mein mim rakha hamd se pahle alif rakha ajab andaz se allah ne ahmad nikala hai kamana aur khana aish karna aur mar jaana nahin 'momin' agar jine ka ye maqsad nikala hai