apna andaz-e-junun sab se juda rakhta hun main chaak-e-dil chaak-e-gareban se siwa rakhta hun main ghaznawi hun aur giraftar-e-kham-e-zulf-e-ayaz but-shikan hun aur dil mein but-kada rakhta hun main hai khud apni aag se har paikar-e-gul tabnak le hawa ki zad pe mitti ka diya rakhta hun main main ki apni qabr mein bhi zinda hun ghar ki tarah har kafan ko apne gird ehram sa rakhta hun main dasht-e-ghurbat mein hun aawara misal-e-gard-baad koi manzil hai na koi naqsh-e-pa rakhta hun main mera saya bhi nahin mera ujale ke baghair aur ujale ka tasawwur khwab sa rakhta hun main