ab batao jaegi zindagi kahan yaro phir hain barq ki nazren su-e-ashiyan yaro ab na koi manzil hai aur na rahguzar koi jaane qafila bhatke ab kahan kahan yaro phul hain ki lashen hain bagh hai ki maqtal hai shakh shakh hota hai dar ka guman yaro maut se guzar kar ye kaisi zindagi pai fikr pa-ba-jaulan hai gung hai zaban yaro turbaton ki shamen hain aur gahri khamoshi ja rahe the kis jaanib aa gae kahan yaro rahzan ke bare mein aur kya kahun khul kar mir-e-karwan yaro mir-e-karwan yaro sirf zinda rahne ko zindagi nahin kahte kuchh gham-e-mohabbat ho kuchh gham-e-jahan yaro waqt ka taqaza to aur bhi hai kuchh lekin kuchh nahin to ho jao mere ham-zaban yaro ek main hun jis ko tum mante nahin 'shair' aur ek main hi hun tum mein nukta-dan yaro