apna bimar hai dil ishq ka bimar nahin khud tashaffi ke siwa hijr ka aazar nahin tirgi aisi ghazab ki ki ayazan-billah aisa lagta hai ki ghar hai dar-o-diwar nahin hashr ke baad bhi viran hi rahegi jannat kaun haqdar hai koi bhi to haqdar nahin tah main kuchh aur hain upar se hain khabren kuchh aur ba-khabar tum bhi nahin main bhi khabar-dar nahin jis ki chaukhat pe bhi rukta hun yahi lagta hai ye dar-e-yar nahin ye bhi dar-e-yar nahin nekiyon ke liye mahaul muafiq bhi to ho kaun kahta hai ki mera koi kirdar nahin