ata-e-dard ki tarsil na-mukammal hai hamari zat ki tashkil na-mukammal hai hamare rog mein hai band karobar-e-jahan hamare shahr mein tatil na-mukammal hai mita nahin hai andhera ghamon ka duniya se nashat-e-ruh ki qindil na-mukammal hai ai aasman tera zulm mukhtasar thahra hamare zabt ki tafsil na-mukammal hai nahin hai ghaur-talab arz-e-muddaa jab tak tumhaare hukm ki tamil na-mukammal hai nisar us pe 'raza' jab talak na ho paen hamare azm ki takmil na-mukammal hai