apna chhoda hua ghar yaad aaya khuld mein khuld-nazar yaad aaya kitni sadiyon ki thakan hai jaan par ek lamhe ka safar yaad aaya jis ke sae ne jalaya mujh ko phir wo sarsabz shajar yaad aaya hath mein chand ki mitti le kar kitne firqon ka safar yaad aaya hum hue apni nazar mein jhute us ka paiman-e-nazar yaad aaya us se ab khwab ka rishta bhi ghalat sar jhatak de wo agar yaad aaya kya na sabit thi meri khush-hunari kyun tera husn-e-nazar yaad aaya phir rag-o-pai ki faza hai bojhal phir bagulon ka safar yaad aaya muddaton jis ki parastish ki thi phir wo aabaad khandar yaad aaya the unhi aankhon mein sapne kitne apna aaghaz-e-safar yaad aaya raat yun ghas ki khushbu lipti nind hi aai na ghar yaad aaya jam gae mil ke patthar ki tarah kya sar-e-rahguzar yaad aaya phir hai 'shahin' ghazal raaz-e-chaman phir koi sokhta-par yaad aaya