apne chehre par bhi chup ki rakh mal jaenge hum ab teri manind socha hai badal jaenge hum aag jo hum ne jalai hai tahaffuz ke liye us ke shoalon ki lapat mein ghar ke jal jaenge hum khatm hai ahd-e-zamistan dhup mein hiddat si hai ek anjaane safar par ab nikal jaenge hum zindagi apni asasi ya qayasi jo bhi ho khwab ban kar aae manind-e-ghazal jaenge hum mustaqil ek rup kab tak is tarah dhaare phiren waqt ke sayyal paimane mein dhal jaenge hum tu agar be-mantiqi par dil ki hansta hai to kya dil jidhar le jae qassam-e-azal jaenge hum chandni mein sare dukh tahlil karne ke liye ghar hai apna aaj ya 'shahin' kal jaenge hum