apna dil apni nazar apna jigar dekhenge

apna dil apni nazar apna jigar dekhenge
aaj hum khud ko ba-andaz-e-digar dekhenge

bagh par yurish-e-barq aur sharar dekhenge
hum se dekha to na jaega magar dekhenge

raat ko hijr mein dil is tarah tadpa hai ki bas
hum ko ummid nahin thi ki sahar dekhenge

aaj mangenge duaon mein khuda se un ko
aaj hum apni duaon ka asar dekhenge

shahr mein yun to hain khush-chehra kai log magar
kis ke chehre pe thaharti hai nazar dekhenge

aaj mearaj pe hai shauq-e-nazara apna
un ka jalwa nazar aaega jidhar dekhenge

wo musafir hun safar hai mera paiham jari
chand ko aap faqat ta-ba-sahar dekhenge

bagh ka hashr jo hona hai wo hoga lekin
koshishen us ko bachane ki to kar dekhenge

hath fankar ke kate gae lekin phir bhi
aap jis shahr mein jaenge 'hunar' dekhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close