dil mein aur kuchh lab par baat dilrubai ki

dil mein aur kuchh lab par baat dilrubai ki
tum ne kis saliqe se mujh se bewafai ki

fasle mohabbat mein jitne kam hue un se
us qadar qarib aain saaten judai ki

haal bhi mera koi phir na puchhne aaya
kuchh dinon to yaron ne meri ham-nawai ki

yun to rahnuma mujh ko sainkadon mile lekin
meri to faqat mere dil ne rahnumai ki

be-chale kisi ko bhi manzilen nahin miltin
phir hai ye shikayat kyon apni na-rasai ki

qaid qatl ranj-o-gham sakhtiyan dil-azari
sainkadon sazaen hain ek haq-nawai ki

ab pada hai mitti mein shakh se juda ho kar
barg ne hawa se kyon zor-azmai ki

kis liye kunen mein tum us ko phenk aae ho
bhaiyon se puchho to kya khata thi bhai ki

ghair hon ki apne hon sab se jhuk ke milta hun
ai 'hunar' nahin aadat mujh ko khud-satai ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close