apna har ek usul mujhe haarna pada thi jit hi fuzul mujhe haarna pada tadbir meri ek na mani bahaar ne patjhad ke aage phul mujhe haarna pada eazaz e'timad hai us ka diya hua garche na tha qubul mujhe haarna pada us ki khushi thi bais-e-fath-e-hayat-e-nau jab wo hua malul mujhe haarna pada jab tak hawa thi saf tha maidan hath mein aankhon mein aai dhul mujhe haarna pada mere bhi kya nasib ki waqt-e-dua 'muhit' sheron ka tha nuzul mujhe haarna pada