bashir 'badr' ki ghazlen suna raha tha main kal aasman ko zamin par bula raha tha main guzar raha tha main jab mai-kade ki rahon se jigar ke hath se daman bacha raha tha main ye baat sab ko batai thi mirza ghaalib ne bahaar ghar mein thi sahra uda raha tha main tumhaari yaad bhi chupke se aa ke baith gai ghazal jo 'mir' ki ek gunguna raha tha main udas sham nazar aai jaan ke jaisi jab intizar mein tere khada raha tha main wo amrita ki tarah mujh se ishq karti thi so apne aap ko 'sahir' bata raha tha main 'faraaz'-o-'faiz' ke dilkash kalam ko padh kar mohabbaton ka tariqa sikha raha tha main 'majaz' kan mein mere bata gae aa kar ki kaise husn ko pagal bana raha tha main 'shakil' aazmi kahne lage paron ko khol jo su-e-asman sar ko utha raha tha main ye baaton baaton mein mujh ko bata gae 'tanwir' kal us ke hath ka kangan ghuma raha tha main 'nida' ne shahr mein ganw basa ke rakha tha so un se milne usi ganw ja raha tha main lipat ke rone lage mujh se shair-e-mashriq jab un ko qaum ki haalat bata raha tha main 'zafar' bataenge tum ko ya main bataunga ke mulk chhod ke kis tarah ja raha tha main ajab hi khwab dikhai diya mujhe 'mohsin' kal aaftab ki mayyat utha raha tha main