apna shahkar abhi ai mere but-gar na bana dil dhadakta hai mera tu mujhe patthar na bana qaid-e-awargi-e-jaan hi bahut hai mujh ko ek diwar meri ruh ke andar na bana aati jati hui sanson pe lakiren mat khinch meri taswir mujhe pas bitha kar na bana wo gharaunde tere bachpan mein bhi dah deti thi ab to wo khel ki baaten bhi nahin ghar na bana ek tera dhyan jo tutega bikhar jaunga mujh ko ek lahr pe bahne de samundar na bana