swad-e-gham ho ya bazm-e-tarab kuchh bhi nahin hota zaban marham rakkhe ya zakhm ab kuchh bhi nahin hota chale aate hain be-mausam ki barish ki tarah aansu basa-auqat rone ka sabab kuchh bhi nahin hota jo hota hai to bas itna ki lafzon ka bharam tute sukhan aata hai akasr ta-ba-lab kuchh bhi nahin hota kabhi the mehrban mausam kabhi sawan barasta tha aur ab dharti hai sari tishna-lab kuchh bhi nahin hota tamanna jhankti hai rauzan-e-zindan se chhup chhup kar asiri mein magar anjam-e-shab kuchh bhi nahin hota qayamat si guzarti hai qayamat aa nahin jati koi be-jaan ho ya jaan-ba-lab kuchh bhi nahin hota jibillat sar utha le to khas-o-khashak hai insan bada ho nam ya uncha nasab kuchh bhi nahin hota yahan hota hai baad-az-marg wawaila bahut lekin koi mar mar ke jab jita ho tab kuchh bhi nahin hota ye duniya hai yahan tarikh hi dohrai jati hai anokha kuchh nahin hota ajab kuchh bhi nahin hota