apne aaba se bahut dur hua jata hai aadmi ishq mein majbur hua jata hai is mein kya chand sitaron ko qabahat hogi zarra-e-khak agar nur hua jata hai dekhna yar wahi hoga wahi hona hai jo mere allah ko manzur hua jata hai dard aisa ki badhta hai mere sine mein zakhm aisa ki nasur hua jata hai naqsh ban kar yahi ubhrega sar-e-sehn-e-jahan aks manzar mein jo mastur hua jata hai us ke rukhsar se hota hua lab tak pahuncha ashk to mashrab-e-angur hua jata hai main use chahte rahne mein hun masruf 'fida' ye gunah mujh se ba-dastur hua jata hai