yahi chinar yahi jhil ka kinara tha yahin kisi ne mere sath din guzara tha nazar mein naqsh hai subh-e-safar ki virani bas ek main tha aur ek subh ka sitara tha mere khilaf gawahi mein pesh pesh raha wo shakhs jis ne mujhe jurm par ubhaara tha khiraj deta chala aa raha hun aaj talak main ek roz zamane se jang haara tha mujhe khud apni nahin us ki fikr lahaq hai bichhadne wala bhi mujh sa hi be-sahaara tha zamin ke kaam agar meri dastaras mein nahin to phir zamin pe mujhe kis liye utara tha main jal ke rakh hua jis alao mein 'amir' wo ibtida mein sulagta hua sharara tha