apne aansu chhupa nahin sakte hum tera gham utha nahin sakte dil dukhate ho bewafa kah kar kya mujhe aazma nahin sakte ban gai hai jo dastan-e-hayat hum wo qissa bhula nahin sakte kaise kah den ki tum masiha ho ek murda jala nahin sakte ab kahan wo dimagh hai 'khurshid' ab to kuchh gunguna nahin sakte