bhari mahfil mein zabt-e-gham ba-asani bhi karte hain magar tanhai mein ashkon ki arzani bhi karte hain miyan hum khaksari mein jawab apna nahin rakhte zarurat aa pade to phir hama-dani bhi karte hain unhen mat dekhen ahl-e-dil hiqarat ki nigahon se faqiran-e-haram shahron pe sultani bhi karte hain shikayat be-sabab karte hain apne gum-shuda dil ki kabhi aap apni chizon ki nigahbani bhi karte hain khade hain sab saf-e-insaniyat mein hath bandhe par zara sochen kabhi kya kar-e-insani bhi karte hain yahi kasa liye 'khurshid' jo phirte hain galiyon mein yahi jab waqt aa jae to man-mani bhi karte hain