apne andar ki jo hairani se bahar aate

apne andar ki jo hairani se bahar aate
roz-marra ki pareshani se bahar aate

jite-ji todte kis tarah tilism-e-wahshat
kaise is ghul-e-bayabani se bahar aate

khud pe kya aur bhi khulne ki tamanna karte
yani hum aur bhi uryani se bahar aate

todte ek hi tili qafas-e-hijr ki hum
ek hi halqa-e-zindani se bahar aate

nakhl-e-izhaar ki hum bunte kabhi sabz qaba
ek nai surat-e-imkani se bahar aate

muntazir kaun sa tha shahr-e-tarab jis ke liye
hum kabhi dasht ki virani se bahar aate

kaun se goshe mein phir milta sukun 'yawar' ko
wo agar teri nigahbani se bahar aate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close