khumar apni ana ka utar chuka kab ka tere hawale to main khud ko kar chuka kab ka wo ek lamha ki jab tu hi to tha pas mere wo ek lamha-e-wahdat guzar chuka kab ka ye main jo tujh ko nazar aa raha hun main hun kahan main khak ban ke hawa mein bikhar chuka kab ka kaho ki phir se utare wo qalb mein nashtar purana zakhm mere dil ka bhar chuka kab ka ye aur baat abhi sans ki hai aamad-o-raft main apne jism ke andar to mar chuka kab ka kahan hain 'yawar'-e-ashufta-sar bulao unhen nigar-khana-e-maqtal sanwar chuka kab ka