apne ashaar ko ruswa sar-e-bazar karun kaise mumkin hai ki main midhat-e-darbar karun dil mein maqtul ki taswir liye phirta hun aur qatil se aqidat ka bhi izhaar karun yahi manshur-e-mohabbat hai ki wo paikar-e-zulm jis ko nafrat se nawaze main use pyar karun ab mere shahr ki pahchan hai ek wada-shikan shahriyat badlun ki tarikh ka inkar karun raat bhar jag ke tamir karun qasr-e-umid subh-e-takmil se pahle use mismar karun