jite-ji ke aashna hain phir kisi ka kaun hai nam ke apne hua karte hain apna kaun hai jaan-e-jaan tere siwa rashk-e-masiha kaun hai mar kar thokar jila de mujh ko aisa kaun hai ye siyah khema hai kis ka is mein laila kaun hai chamber-e-aflak ke parde mein baitha kaun hai hum na kahte the ki sauda zulf ka achchha nahin dekhiye to ab sar-e-bazar ruswa kaun hai wo to hai be-nur aur ye nur se mamur hai chashm ko nargis kahega aisa andha kaun hai dam-ba-dam har baat mein karte ho thandi garmiyan aap ki ukhdi hui baaton pe jamta kaun hai wadi-e-wahshat mein bhi ham-rah hain aah-o-fughan apne hamdam sath hain ai jaan tanha kaun hai khair hai ai mehrban kis ne unhen sidha kya aap kyun bal karte hain zulfon se uljha kaun hai dukhtar-e-raz sach bata teri nazar kis par padi tattiyon ki aad mein se kis ko taka kaun hai aaj maqtal mein khade kahte hain wo khanjar-ba-kaf bol uthe chahne wala hamara kaun hai chaar din jo kuchh tamasha dekhna hai dekh le sair ko phir gulshan-e-duniya mein aata kaun hai bandh kar tegh o kafan jate hain us qatil ke pas hum bhi dekhen rokne wala hamara kaun hai kya tajahul hai ki wo farmate hain aghyar se main nahin pahchanta mutlaq ki 'agha' kaun hai