apne bojh se tut raha hun main bhi kanch ka ek tukda hun koi kahani yaad nahin hai raddi kaghaz bech chuka hun zist ne apne par phailae ret ke sahraon mein khada hun apni baat kahun to kyon kar un ki baaton mein uljha hun sab mitti ke saudagar hain jin ke bhi hathon mein bika hun mujh se tark-e-talluq kar lo main andar se tut chuka hun tum hi becho tum hi kharido sud-o-ziyan se la-parwa hun lakh sanwaro lakh bigado waisa rahunga main jaisa hun nuqta ek hun 'iraj' lekin samton mein samton mein bata hun