apne chaman pe abr ye kaisa baras gaya har qatra zahar ban ke fazaon mein bas gaya sud-o-ziyan ki fikr ka kis ko raha dimagh muddat hui ki hausla-e-pesh-o-pas gaya ab jagte hain apni hi aahat se qafile rah-e-talab se shewa-e-bang-e-jaras gaya ek sail-e-rang-o-nur se jal-thal hai kaenat kaisa ye tere jalwon ka baadal baras gaya dikhlaen hum shikastagi-e-baal-o-par kise kahte hain log mausam-e-qaid-e-qafas gaya chaaragaro ye zahr utaro to baat hai tarikiyon ka nag zamane ko das gaya naqsh-e-qadam ka bhi koi milta nahin suragh chupke se dil mein aa ke mere kaun bas gaya har lamha zindagi se ibarat tha jin dinon kya kya na hum se le ke wo daur-e-hawas gaya 'hurmat' ye dil hai apni tabahi pe jis ko naz wo phul hai jo khilne se pahle bikas gaya