hisar-e-did mein roidagi malum hoti hai to kyun andesha-e-tishna-labi malum hoti hai tumhaari guftugu se aas ki khushbu chhalakti hai jahan tum ho wahan pe zindagi malum hoti hai sitare misl jugnu zaiche mein raqs karte hain zara si der mein kuchh raushni malum hoti hai jahan par ek jogan mast ho kar gungunati hai usi sahil pe ek girti nadi malum hoti hai udasi zulf kholegi dinon ki yaad mein gum hai shuur-e-gul ko fikr-e-tishnagi malum hoti hai jahan pe phul khilta hai sanwarta hai bikharta hai usi shakh-e-mohabbat pe kali malum hoti hai satati hai tumhaari yaad jab mujh ko shab-e-hijran mujhe khud apni hasti ajnabi malum hoti hai tumhaare lams ko main jab kabhi mahsus karta hun bahut halki sahi ek raushni malum hoti hai fana hona andheri raat ki taqdir hai 'alam' mujhe ye bebasi bhi zindagi malum hoti hai