apne chehre ki ziya de ke ujalo mujhko

apne chehre ki ziya de ke ujalo mujh ko
pur-sukun jita hun uljhan mein hi dalo mujh ko

nind utri nahin aankhon mein badi muddat se
reshmi zulf ke sae mein sula lo mujh ko

dhund lo pahle khataon ka meri koi subut
be-sabab yun to na mahfil se nikalo mujh ko

nafraten mere taaqub mein chali aati hain
ain mumkin hai bikhar jaun sambhaalo mujh ko

main ne sar bar liye wo jo mere the hi nahin
qurb itna sa karo mujh se chura lo mujh ko

hath hai dost koi kasa gadai ka nahin
tham lo badh ke ise aise na talo mujh ko

dastan koi katha hai na kahani koi
kuchh ugalne ka nahin jaise khangalo mujh ko

aaj barsat hai baadal hai fazaen mahki
git hun pyar ka honton pe saja lo mujh ko

jis ki 'hasrat' thi tumhein main wo tumhaari manzil
gar hun mehnat ka sila apna bana lo mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close