apne chehre par kai chehre liye hum bade hi parsa ban kar jiye raaz ulfat ka chhupane ke liye zabt-e-girya bhi kiya lab bhi siye jin mein chalti hain hawaen tez tez aisi rahon mein jalae hain diye jo bhi hain is bazm mein madhosh hain aur ye madhoshiyan hain bin piye aap ne chhode hain jo naqsh-e-qadam wo hamare haq mein hain raushan diye gham ke tufanon ki zad par be-khatar phir 'jamali' ne jalae hain diye