apne chehre pe sharafat ko sajae rahiye

apne chehre pe sharafat ko sajae rahiye
saf kapdon mein har ek aib chhupae rahiye

sach ko sach kahne ke anjam se dar lagta hai
is liye jhut kaleje se lagae rahiye

chashm-e-saqi ki inayat ka bharam rakhna hai
be-piye bazm mein hangama machae rahiye

apne qatil ko kabhi zahmat-e-tashhir na den
apna sar apne hi neze pe uthae rahiye

subh gar hogi to pahchan liye jaenge
shoabde shab ke andhere mein dikhae rahiye

un ke kuche mein jo jaana hai to hushiyar rahen
barf ko aag ke shoalon se bachae rahiye

lakhon ilzam se bachne ka saliqa ye hai
mujh ko ilzam ki suli pe chadhae rahiye

dard aankhon se tapak jaega aansu ban kar
lakh honton pe tabassum ko sajae rahiye

aap bardasht na kar paenge 'nazim' ka wajud
ye jo diwana bana hai to banae rahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close