rafaqaton ke safar mein gurez-pa sa laga wo bewafa na sahi phir bhi bewafa sa laga na-jaane kaisi udasi dil-e-tabah mein thi jo us pe zakhm ki surat tera dilasa laga wo jis ki zinda-dili ke hazar charche the wo teri bazm mein kitna bujha bujha sa laga ye na-rasai bhi kitni ajib hoti hai samundaron ka musafir tha aur pyasa laga bas ek lamha-e-rukhsat ke phail jaane se main apne aap ko kitna thaka thaka sa laga 'nazir' tark-e-talluq pe dukh na tha lekin mujhe kisi ka rawayya zara bura sa laga