apne dushman hazar nikle hain han magar ba-waqar nikle hain hum bhi kya baada-khwar ho jaen shaikh to baada-khwar nikle hain ghar ka rasta na mil saka hum ko ghar se jo ek bar nikle hain chand bin chandni kahan hogi go sitare hazar nikle hain khun-e-dil de ke jin ko sincha tha nakhl sab khar-dar nikle hain band kuche ki dusri jaanib raste be-shumar nikle hain baad ek umr ki khamoshi ke misre sab zor-dar nikle hain hum to samjhe the mast hain 'asi' aap bhi hoshiyar nikle hain koi kahta tha khush hain 'asi-ji' wo magar dil-figar nikle hain