faza mein bikhre hue rang jhilmilate kya wahi hawa thi charaghon ko phir jalate kya shikasta jism tha suraj ka qahr jhele hue baraste abr ke chhinte hamein jagate kya tamam daur ki lahren thin khwab ki surat baja thi pyas sarabon mein dub jate kya har ek lamha tha apne hi aks se dhundla guzarte waqt ko hum aaina dikhate kya labon pe jam gai diwar-o-dar ki khamoshi tamam shahr tha viran sada lagate kya yahan bhi kis ko thi ummid par utarne ki nadi jo rah mein milti to laut aate kya bhatak rahe hain zamane se gham ke sahra mein ab aur us ki sada ka fareb khate kya tamam umr guzari rawan-dawan 'rashid' the barg-e-khushk kahin par qadam jamate kya