apne ehsanon ka nila saeban rahne diya chhin li chhat aur sar par aasman rahne diya aaj us ki be-zabani ne mujhe samjha diya kis liye fitrat ne gul ko be-zaban rahne diya zindagi to kya asasa tak nahin baqi bacha qatilon ne ab ke bas khali makan rahne diya khauf-e-ruswai se main ne khat jala dala magar jaane kyun us chand se lab ka nishan rahne diya dosti ko apni majburi nahin samjha kabhi fasla main ne barabar darmiyan rahne diya be-gunahi ki safai de bhi sakta tha magar kuchh samajh kar main ne us ko bad-guman rahne diya aag ke bazigaron ne ab ke khel aisa khela shahr ki taqdir mein khali dhuan rahne diya kya siyasi chaal hai ye zaliman-e-waqt ki le liya sab kuchh magar ek khauf-e-jaan rahne diya chaunk chaunk uthta hun main raaton ko 'ibrat' khauf se khwab us ne meri aankhon mein kahan rahne diya