khauf ka tari silsila kya hai har-su wahshat hai ye hua kya hai ruh zakhmi hamari sab ki hai mil ke sochen ki ab dawa kya hai qulzum-e-khun na az-azal thahri is zehanat ka faeda kya hai har taraf shor in sawalon ka kaun hai tu tera pata kya hai ghair ke ghar lagi to chup hai tu ruk ki tera abhi jala kya hai kyun bhatakti hain sadkon pe ruhen mar ke jine ki ye saza kya hai ek khalish si hawa mein hai shayad sans mushkil sa ho gaya kya hai tu bhi insan main bhi insan hi ab ye insaniyat bata kya hai jite ho lash par kisi ki tum kal wo jitega to bura kya hai dard tera mera na ho yaksan dard hi hai alahada kya hai