apne ehsas-e-sharar-bar se dar lagta hai apni hi jurat-e-izhaar se dar lagta hai itni rahon ki saubat se guzar jaane ke baad ab kise wadi-e-pur-khar se dar lagta hai kitne hi kaam adhure hain abhi duniya mein umr ki tezi-e-raftar se dar lagta hai sari duniya mein tabahi ke siwa kya hoga ab to har subh ke akhbar se dar lagta hai khud ko manwaun zamane se to tukde ho jaun kuchh riwayat ki diwar se dar lagta hai shauq-e-shorida ke hathon hue badnam bahut ab to har jazba-e-bedar se dar lagta hai jaanti hun ki chhupe rahte hain fitne is mein aap ki narmi-e-guftar se dar lagta hai