barq se aashiyan ka rishta hai arsh se khak-dan ka rishta hai mere afsana-e-mohabbat se aap ki dastan ka rishta hai aaj-kal hum junun-pasandon se har nae imtihan ka rishta hai ahl-e-gulshan ki khasta-haali se sazish-e-baghban ka rishta hai aap mukhtar aur hum majbur sochiye to kahan ka rishta hai shaikh sahab ka hur-o-ghilman se sirf wahm-o-guman ka rishta hai un ka 'akhtar' se yun talluq hai jis tarah jism-o-jaan ka rishta hai