apne gham ka mujhe kahan gham hai ai ki teri khushi muqaddam hai aag mein jo pada wo aag hua husn-e-soz-e-nihan mujassam hai us ke shaitan ko kahan taufiq ishq karna gunah-e-adam hai dil ke dhadkon mein zor-e-zarb-e-kalim kis qadar is habab mein dam hai hai wahi ishq zinda-o-jawed jise aab-e-hayat bhi sam hai is mein thahraw ya sukun kahan zindagi inqalab-e-paiham hai ek tadap mauj-e-tah-nashin ki tarah zindagi ki bina-e-mohkam hai rahti duniya mein ishq ki duniya nae unwan se munazzam hai uthne wali hai bazm mazi ki raushni kam hai zindagi kam hai ye bhi nazm-e-hayat hai koi zindagi zindagi ka matam hai ek muamma hai zindagi ai dost ye bhi teri ada-e-mubham hai ai mohabbat tu ek azab sahi zindagi be tere jahannam hai ek talatum sa rang-o-nikhat ka paikar-e-naz mein dama-dam hai phirne ko hai rasili nim-nigah aahu-e-naz mail-e-ram hai rup ke jot zer-e-pairahan gulsitan par rida-e-shabnam hai mere sine se lag ke so jao palken bhaari hain raat bhi kam hai aah ye mehrbaniyan teri shadmani ki aankh pur-nam hai narm o doshiza kis qadr hai nigah har nazar dastan-e-maryam hai mehr-o-mah shola-ha-e-saz-e-jamal jis ki jhankar itni maddham hai jaise uchhle junun ki pahli sham is ada se wo zulf barham hai yun bhi dil mein nahin wo pahli umang aur teri nigah bhi kam hai aur kyun chhedti hai gardish-e-charkh wo nazar phir gai ye kya kam hai ru-kash-e-sad-harim-e-dil hai faza wo jahan hain ajib aalam hai diye jati hai lau sada-e-'firaq' han wahi soz-o-saz kam kam hai