gham-e-insan ki sajai hui duniya hun main anjuman mere tasawwur mein hai tanha hun main tapish o dard ke asrar se waqif hun magar mujh ko ye zoam nahin hai ki masiha hun main jaane kya shai mere sine mein bhari hai aisi sham-e-sozan ki tarah jalta pighalta hun main na kashish hun main zamin ki na hun pani ka uchhaal zarre udta hua bahta hua dariya hun main roz paigham-e-mohabbat mujhe deti hai hayat rah-e-dushwar se aasuda guzarta hun main chaarasazi gham-e-insan ki hai buniyaad-e-amal zindagi hai yahi jis ke liye jita hun main pairwi-e-hawas-e-kham na hogi mujh se maqsad-e-zabta-e-ishq samajhta hun main asr-e-hazir ke numainda hain mere ashaar gham-e-insan ko taghazzul mein samota hun main jazba-e-khidmat-e-insan hai 'matin' aab-e-hayat shukr-sad-shukr ai ehsas ki achchha hun main