apne ghar mein dip jalana bhul gae bachchon ko tahzib sikhana bhul gae talwaron ki aaraish ka mausam tha kamre mein gul-dan sajaana bhul gae khud se milne ki chahat mein the masruf hum duniya ko phir apnana bhul gae fasla us ne rakh chhoda tha apne bich hum bhi us se hath milana bhul gae maujon ka kuchh lutf-o-karam hi aisa tha hum kashti sahil par lana bhul gae tanhai ka bojh hai apne shanon par khud ko ye ehsas dilana bhul gae sukhi dharti apni kokh se kya degi baadal ab ke jal barsana bhul gae 'khalid' aksar raat mili footpathon par hum khwabon se aankh milana bhul gae