apne guman-e-tark-e-mohabbat ko kya hua phir samne hai ek badan sochta hua ye pairahan ye zulf ye nazron ki ehtiyat hum khush-nasib hain ki tera samna hua hum par to khair ek qayamat guzar gai tere mizaj se bhi jahan aashna hua kakul-badosh aaj wo sargarm-e-bahs hain dil ki muwafaqat mein koi faisla hua na-pukhtagi-e-ishq ke gham bhi guzar gae us ba-wafa pe aaj yaqin-e-wafa hua phir qatl-gah mein zinat-e-dar-o-rasan hui phir sharh-e-arzu ka kahin hausla hua 'saifi' hamein aziz tha kuchh itna raaz-dan wo shokh khush-dimagh bhi hum se khafa hua