gham-e-hayat kahen dard-e-kaenat kahen tumhaare nam se sare jahan ki baat kahen bada ghazab hai jo hum raat ko bhi raat kahen utho ki aaj to dar-o-rasan ki baat kahen kisi ke dawa-e-tamkin pe harf aata hai sanbhal ke aap zara mere waqiat kahen udhar zaban hai ki betab-e-guftugu hai bahut idhar ye qaid nigahon se dil ki baat kahen kisi ki yaad ki ab dil bhi rahguzar nahin bhare jahan mein kise apni kaenat kahen tumhaari bazm mein dhalte rahe hain afsane khata muaf agar hum bhi ek baat kahen hamin se tark-e-mohabbat hamin se husn-e-suluk hum is maqam ko rasm-e-takallufat kahen kisi ke husn-e-taghaful se ab to paida hai wo ek baat jise jaan-e-iltifat kahen isi ka nam to ilham-e-sher hai 'saifi' ki apni baat mein sare jahan ki baat kahen