apne ham-rah jala rakkha hai taq-e-dil par jo diya rakkha hai jumbish-e-lab na sahi tere khilaf hath ko hum ne utha rakkha hai tu mujhe chhod ke ja sakta nahin chhod is baat mein kya rakkha hai wo mila dega hamein bhi jis ne aab aur gil ko mila rakkha hai mujh ko malum hai meri khatir kahin ek jal buna rakkha hai jaanta hun mere qissa-go ne asl qisse ko chhupa rakkha hai aasmanon ne gawahi ke liye ek sitare ko bacha rakkha hai kaam kuchh itne hain karne ko 'jamal' nam ko kal pe utha rakkha hai