main us darakht ka bas aakhiri hi patta tha jise hamesha hawa ke khilaf ladna tha main zindagi mein kabhi is qadar na bhatka tha ki jab zamir mujhe rasta dikhata tha machine ban to chuka hun magar nahin bhula ki mere jism mein dil bhi kabhi dhadakta tha wo bachcha kho gaya duniya ki bhid mein kab ka hasin khwabon ki jo titliyan pakadta tha phir us ke baad parindon pe jaane kya guzri main ek ped ki shakhon ko kat aaya tha tamam-umr wo aaya nahin zamin pe kabhi hawa mein us ne jo sikka jo kabhi uchhaala tha mera wajud bhi shamil tha us ki mitti mein mera bhi khet ki faslon mein koi hissa tha na jane kitni surangen nikal gain us se khada pahad bhi to aankh ka hi dhoka tha jo baat baat pe khata raha khuda ki qasam qasam khuda ki wahi aadmi to jhuta tha pata karo ki abhi wo bada hua ki nahin bade darakht ke niche jo nanha pauda tha us ek sher pe aankhen chamak uthi us ki wo sher jis mein ki roti ka zikr aaya tha hamari zindagi thi ek talash pani ki jahan pe ret ka 'dwij' ek chhanta dariya tha