apne hamrah mohabbat ke hawale rakhna

apne hamrah mohabbat ke hawale rakhna
kitna dushwar hai ek rog ko pale rakhna

itna aasan nahin band gali mein rahna
shahr-e-tarik mein yaadon ke ujale rakhna

hum ziyaada ke talabgar nahin hain lekin
waqt kuchh bahr-e-mulaqat nikale rakhna

baat kar lenge judai pe kahin baad mein hum
apne honton pe sar-e-bazm to tale rakhna

kaam aaenge kisi roz tumhaare ye guhar
apne ashkon ko meri jaan sambhaale rakhna

jhil par jaise koi kali ghata chha jae
nili aankhon pe ghani palkon ko dale rakhna

us ko ujde hue logon se hai ulfat 'shahid'
baal bikhrae hue panw mein chhaale rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close