KHayal-e-husn mein yun zindagi tamam hui

khayal-e-husn mein yun zindagi tamam hui
hasin subh hui aur hasin sham hui

waqar-e-ishq bas ab sar jhuka de qadmon par
udhar se tere liye sabqat-e-salam hui

har ek apni jagah khush har ek yahi samjha
nigah-e-khas ba-tarz-e-nigah-e-am hui

nazar mili to tabassum raha khamoshi par
nazar phiri to zara himmat-e-kalam hui

bas ab to tum ne mohabbat ka le liya badla
muaf karna jo taklif-e-intiqam hui

hai dekhne hi ka waqfa jise samajhte hain
'raza' wo dhup chadhi din dhala wo sham hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close