apne hi sajde ka hai shauq mere sar-e-niyaz mein

apne hi sajde ka hai shauq mere sar-e-niyaz mein
kaba-e-dil hai samne mahw hun main namaz mein

bina hai gar to khak dal dida-e-imtiyaz mein
jam o khum-o-subu na dekh mai-kada-e-majaz mein

kis ka farogh-e-aks hai kaun hai mahw-e-naz mein
kaund rahi hain bijliyan aaina-e-majaz mein

subh-e-azal hai subh-e-husn sham-e-abad hai dagh-e-ishq
dil hai maqam-e-irtibaat silsila-e-daraaz mein

parda-e-e'tibar-e-ghair pairahan-e-khudi hai chaak
husn-e-azal hai jalwa-rez sadma-e-dil-gudaz mein

aql-o-shuur bhi hain kya uqda-e-raaz-e-dahr hain
rah gae aur ulajh ke hum sai-e-kashud-e-raaz mein

yaad kisi ki aa gai kat gai zindagi ki raat
warna kahan numud-e-subh aisi shab-e-daraaz mein

dafn hai dil jagah jagah kaba hai gam gam par
sajda kahan kahan kare koi harim-e-naz mein

husn ke aastane par nasiya rakh ke bhul ja
fikr-e-qubul-o-rad na kar pesh-kash-e-niyaz mein

khun ke aansuon se hai zinat-e-husn-e-dil 'jigar'
chahiye dagh-e-ishq bhi sina-e-pak-baz mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close