ta-ba-aflak agar apni rasai hoti

ta-ba-aflak agar apni rasai hoti
kuchh tajjub nahin qabze mein khudai hoti

naseha hum ko tabiat pe jo qabu hota
dil si daulat sar-e-bazar ganwai hoti

maut ne mujh ko faramosh kiya khub kiya
aap ne aankh na ai kash churai hoti

meri mitti ko thikane jo lagaya tha tujhe
su-e-but-khana ye kam-bakht udai hoti

sab ko tum saghar-e-zarrin mein pilate ho sharab
hamein talchhat hi shikore mein pilai hoti

raat din shaikh-e-haram kalima buton ka padhta
but-kade mein jo kabhi us ki rasai hoti

bhulte hum na kabhi baad-e-saba ka ehsan
kakul-e-yar ki khushbu jo sunghai hoti

puchhta main bhi mizaj aap ka shokhi se yunhi
chot dil ki jo kahin aap ne khai hoti

tha azal se dil-e-'azam' mein koi aur makin
us mein kya ishq hasinan ki samai hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close