apne hisse ki ana dun to ana dun kis ko apni nazron se gira dun to gira dun kis ko zindagi ka ye meri kaun hai qatil jaane main hun mushkil mein saza dun to saza dun kis ko dosti mein bhi hai ranjish ki kahani ki meri is kahani ko bata dun to bata dun kis ko muddaton se hain mili thokaren mujh ko jo yahan ishq-bazi mein wafa dun to wafa dun kis ko war sab pith pe karte hain yun dil mein rah kar tu bata de main dua dun to dua dun kis ko baat karti hi nahin ab to ye tanhai bhi man ki har baat suna dun to suna dun kis ko har koi jujh raha hai yahan apne gham se dard-e-gham ki ye dawa dun to dawa dun kis ko kaun laega meri chitthiyan khushiyon wali apne ghar ka main pata dun to pata dun kis ko gham mein duba hua rahta hun main ab har lamha 'mit' ye jam pila dun to pila dun kis ko