gham se ghabra ke kabhi nala-o-fariyaad na kar izzat-e-nafs kisi haal mein barbaad na kar dil ye kahta hai ki de int ka patthar se jawab jo tujhe bhule use tu bhi kabhi yaad na kar tod de band-e-qafas kuchh bhi agar himmat hai ek rihai ke liye minnat-e-sayyaad na kar apne haalat ko behtar jo banana hai tujhe ahd-e-rafta ko kabhi bhul ke bhi yaad na kar haal ko dekh samajh waqt ki qimat ai dost fikr-e-farda mein kabhi waqt ko barbaad na kar zindagi banti hai kirdar se kirdar bana mukhtasar zist ke lamhat ko barbaad na kar kabhi badla hai na badlega mohabbat ka mizaj ahl-e-dil hai to kisi dil ko bhi nashad na kar muddai ilm ka hai jehl-e-murakkab la-raib qaul faisal hai faramosh ye irshad na kar