apne hisse ki zamin bhi chahiye dil makan ko ek makin bhi chahiye ladke walon ki talab to dekhiye ladki afsar bhi hasin bhi chahiye us ki baaten yaad karte hain chalo sham-e-gham kuchh dil-nashin bhi chahiye us ki har dam han ghamandi kar gai us ke munh se ek nahin bhi chahiye dam kirae ke makanon mein ghute ghar ho kaisa bhi kahin bhi chahiye hum na hon to tum bhi be-mani raho aastane ko jabin bhi chahiye sher to kuchh 'tahira' ne kah diye lekin us ko aafrin bhi chahiye