tere bais masala hal ho gaya

tere bais masala hal ho gaya
main adhura tha mukammal ho gaya

jaan di us ne main pagal ho gaya
aur afsana mukammal ho gaya

mujh ko le kar rail aage badh gai
aur gila us ka aanchal ho gaya

ye samundar kis qadar tha pur-sukun
chand ko dekha to pagal ho gaya

ab meri achhaiyan bhi aib hain
ab mera sona bhi pital ho gaya

har taraf hangama-ha-e-dar-o-gir
kya ye sara shahr pagal ho gaya

zehn mein utri thi yaadon ki baraat
raat phir jangal mein mangal ho gaya

ek afsana adhura hai abhi
ek afsana mukammal ho gaya

khushk dariyaon mein khak udne lagi
aur sahraon mein jal-thal ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close