apne hisse mein hi aane the khasare sare dost hi dost the basti mein hamare sare zer-e-lab aah nami aankh mein chup chup tanha aise hi hote hain ye dard ke mare sare khwab, ummid, tamannaen, talluq, rishte jaan le lete hain aakhir ye sahaare sare tujh ko ek lafz bhi kahne ki zarurat kya hai hum samajhte hain meri jaan ishaare sare ishq kya itna bada jurm hai? jis par yawar! dushman-e-jaan hue jaan se pyare sare aae jab tere muqabil to khula kuchh bhi nahin gul-badan mah-jabin nur ke dhaare sare haar hi jit hai aain-e-wafa ki ru se ye wo bazi hai jahan jit ke haare sare husn khud qane hua lal-o-guhar par warna hum to aflak se le aate sitare sare kaun kafir hai ye jab puchha gaya waiz se auj-e-mimbar se sada aai ki sare sare dubna likkha ho taqdir mein 'imrran' agar aap ban jate hain gardab kinare sare